koi bhi uqda-kusha-e-KHud-agahi na mila
koī bhī uqda-kushā-e-ḳhud-āgahī na milā
maiñ apne aap se bhī aaj tak kabhī na milā
mushāhidāt pe qudrat na tajrabāt pe naaz
hameñ to koī hunar tujh se zindagī na milā
shu.ūr-e-rāhbarī raah dekhtā kab tak
us aadmī kī jise zauq-e-rah-ravī na milā
dayār-e-shauq meñ sab kuchh mujhe nazar aaya
magar gayā thā maiñ jis ke liye vahī na milā
baḌā ajiib hai mahrūmiyoñ kā rishta bhī
koī bhī shaḳhs kahīñ mujh ko ajnabī na milā
batā.eñ kyā tumheñ us qāfile ke baare meñ
ki ham ko raah meñ jis kā ġhubār bhī na milā
'rabāb' apne hī chehre pe jam ga.iiñ nazreñ
jab ā.inoñ meñ koī aur aks hī na milā
koi bhi uqda-kusha-e-KHud-agahi na mila
main apne aap se bhi aaj tak kabhi na mila
mushahidat pe qudrat na tajrabaat pe naz
hamein to koi hunar tujh se zindagi na mila
shuur-e-rahbari rah dekhta kab tak
us aadmi ki jise zauq-e-rah-rawi na mila
dayar-e-shauq mein sab kuchh mujhe nazar aaya
magar gaya tha main jis ke liye wahi na mila
baDa ajib hai mahrumiyon ka rishta bhi
koi bhi shaKHs kahin mujh ko ajnabi na mila
bataen kya tumhein us qafile ke bare mein
ki hum ko rah mein jis ka ghubar bhi na mila
'rabab' apne hi chehre pe jam gain nazren
jab aainon mein koi aur aks hi na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.