koi bhi zarra sitara nahin bana mujhse
koī bhī zarra sitāra nahīñ banā mujh se
mujhe ye dukh hai ujālā nahīñ banā mujh se
kabhī bhī jiit kā ḳhāka nahīñ banā mujh se
vazīr koī piyāda nahīñ banā mujh se
the rang jitne udāsī ke ḳharch kar Daale
magar ġharīb kā chehra nahīñ banā mujh se
maiñ kaaT saktā nahīñ koī sāya-dār shajar
isī liye kabhī rasta nahīñ banā mujh se
vo chāñd-chehra banāyā thā canvas par bas
phir us ke jaisā ujālā nahīñ banā mujh se
maiñ chāhtā thā banā.ūñ maiñ āñdhiyāñ lekin
havā kā ek bhī jhoñkā nahīñ banā mujh se
chalā thā maiñ bhī banāne jahān kā naqsha
ḳhud apne ghar kā to naqsha nahīñ banā mujh se
koi bhi zarra sitara nahin bana mujh se
mujhe ye dukh hai ujala nahin bana mujh se
kabhi bhi jit ka KHaka nahin bana mujh se
wazir koi piyaada nahin bana mujh se
the rang jitne udasi ke KHarch kar Dale
magar gharib ka chehra nahin bana mujh se
main kaT sakta nahin koi saya-dar shajar
isi liye kabhi rasta nahin bana mujh se
wo chand-chehra banaya tha canwas par bas
phir us ke jaisa ujala nahin bana mujh se
main chahta tha banaun main aandhiyan lekin
hawa ka ek bhi jhonka nahin bana mujh se
chala tha main bhi banane jahan ka naqsha
KHud apne ghar ka to naqsha nahin bana mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.