koi bimar paD jae to achchha kaise karte ho
koi bimar paD jae to achchha kaise karte ho
Mushaf Iqbal Tausifi
MORE BYMushaf Iqbal Tausifi
koī bīmār paḌ jaa.e to achchhā kaise karte ho
dikhāo to masīhā.ī kā daavā kaise karte ho
hazāroñ jāgtī āñkheñ surāġh us kā nahīñ pātīñ
tum āñkheñ band kar ke us ko dekhā kaise karte ho
agar be-mehr hai to roz kyuuñ jā jā ke milte ho
agar patthar use kahte ho sajda kaise karte ho
hayā aisī adab itnā hamārī aql hairāñ hai
are tum mard ho kar us se parda kaise karte ho
ye aañsū toḌ degā sab hisār-e-jism-o-jāñ ik din
ye dariyā jab umaDtā hai to rokā kaise karte ho
vo apnī ghar grihastī meñ magan hai Thiik hī to hai
jise paanā nahīñ us kī tamannā kaise karte ho
koi bimar paD jae to achchha kaise karte ho
dikhao to masihai ka dawa kaise karte ho
hazaron jagti aankhen suragh us ka nahin patin
tum aankhen band kar ke us ko dekha kaise karte ho
agar be-mehr hai to roz kyun ja ja ke milte ho
agar patthar use kahte ho sajda kaise karte ho
haya aisi adab itna hamari aql hairan hai
are tum mard ho kar us se parda kaise karte ho
ye aansu toD dega sab hisar-e-jism-o-jaan ek din
ye dariya jab umaDta hai to roka kaise karte ho
wo apni ghar grihasti mein magan hai Thik hi to hai
jise pana nahin us ki tamanna kaise karte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.