koi chahat hi rahi aur na sauda sar mein
koī chāhat hī rahī aur na saudā sar meñ
ek maqrūz kī mānind paḌe haiñ ghar meñ
jaise paanī se koī phuul ko taaza rakhe
ham ne kuchh dard chhupā rakkhe haiñ chashm-e-tar meñ
ab rihā.ī bhī milegī to sazā hī hogī
nahīñ parvāz kī quvvat mire bāl-o-par meñ
ḳhair ho ḳhair to ab ḳhaar sā khaTke sab ko
ġham to ye hai ki sukūñ bhī nahīñ miltā shar meñ
is qadar ho gayā mash.hūr ye āseb-zada
koī rahtā nahīñ ab aa ke hamāre ghar meñ
ham the nādān luTe dost ke hāthoñ 'jauhar'
kaise pīTeñ ye DhinDhorā bhī zamāne bhar meñ
koi chahat hi rahi aur na sauda sar mein
ek maqruz ki manind paDe hain ghar mein
jaise pani se koi phul ko taza rakhe
hum ne kuchh dard chhupa rakkhe hain chashm-e-tar mein
ab rihai bhi milegi to saza hi hogi
nahin parwaz ki quwwat mere baal-o-par mein
KHair ho KHair to ab KHar sa khaTke sab ko
gham to ye hai ki sukun bhi nahin milta shar mein
is qadar ho gaya mashhur ye aaseb-zada
koi rahta nahin ab aa ke hamare ghar mein
hum the nadan luTe dost ke hathon 'jauhar'
kaise piTen ye DhinDhora bhi zamane bhar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.