koi chehra jo mere samne laya hai mujhe
koī chehra jo mire sāmne laayā hai mujhe
yahī har haal meñ kyā dekhtā aayā hai mujhe
sa'ī ye thī kisī kandhe pe khaḌā ho jā.ūñ
bhaag niklā huuñ ki har ik ne girāyā hai mujhe
na kabhī baat huī us se na pahchān kabhī
hai magar koī yahāñ tak vahī laayā hai mujhe
muntazir jo bhī the ye kah ke lapak nikle haiñ
ye jo aayā hai bulāvā faqat aayā hai mujhe
bāhar aatā huuñ to uThtī hai mujhī par har aañkh
jaane kis ḳhauf ne is ghar meñ basāyā hai mujhe
ek hī lamhe meñ suntā huuñ maiñ do āvāzeñ
yaad ye kis ne kiyā kis ne bulāyā hai mujhe
haañ ye sach hai ki ba-sad jabr maiñ ghar lauTā huuñ
kis ne is haal meñ lekin kahīñ paayā hai mujhe
'talḳh' maiñ ne jo laḌī jang laḌī phir kis se
apne kandhoñ pe sabhī ne to uThāyā hai mujhe
koi chehra jo mere samne laya hai mujhe
yahi har haal mein kya dekhta aaya hai mujhe
sa'i ye thi kisi kandhe pe khaDa ho jaun
bhag nikla hun ki har ek ne giraya hai mujhe
na kabhi baat hui us se na pahchan kabhi
hai magar koi yahan tak wahi laya hai mujhe
muntazir jo bhi the ye kah ke lapak nikle hain
ye jo aaya hai bulawa faqat aaya hai mujhe
bahar aata hun to uThti hai mujhi par har aankh
jaane kis KHauf ne is ghar mein basaya hai mujhe
ek hi lamhe mein sunta hun main do aawazen
yaad ye kis ne kiya kis ne bulaya hai mujhe
han ye sach hai ki ba-sad jabr main ghar lauTa hun
kis ne is haal mein lekin kahin paya hai mujhe
'talKH' main ne jo laDi jang laDi phir kis se
apne kandhon pe sabhi ne to uThaya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.