koi chehra koi mahtab dikhai deta
koī chehra koī mahtāb dikhā.ī detā
niiñd aatī to koī ḳhvāb dikhā.ī detā
ḳhvāhisheñ ḳhālī ghaḌe sar pe uThā laa.ī haiñ
koī dariyā koī tālāb dikhā.ī detā
nisbat-e-husn mirā TaaT kā arzāñ sā badan
tere paivand se kamḳhāb dikhā.ī detā
Dūbne ko na samundar na koī chashm-e-siyah
aaj to jaam meñ girdāb dikhā.ī detā
phir mire paañv tale tuur kī miTTī hotī
phir mujhe jāda-e-asbāb dikhā.ī detā
is safedī phirī qabroñ ke nagar meñ mansūr
koī to zinda-o-shādāb dikhā.ī detā
koi chehra koi mahtab dikhai deta
nind aati to koi KHwab dikhai deta
KHwahishen KHali ghaDe sar pe uTha lai hain
koi dariya koi talab dikhai deta
nisbat-e-husn mera TaT ka arzan sa badan
tere paiwand se kamKHab dikhai deta
Dubne ko na samundar na koi chashm-e-siyah
aaj to jam mein girdab dikhai deta
phir mere panw tale tur ki miTTi hoti
phir mujhe jada-e-asbab dikhai deta
is safedi phiri qabron ke nagar mein mansur
koi to zinda-o-shadab dikhai deta
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 442)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.