koi dam un ko nigahon ka ishaara na mila
koi dam un ko nigahon ka ishaara na mila
Mukhtar Ashiqi Jaunpuri
MORE BYMukhtar Ashiqi Jaunpuri
koī dam un ko nigāhoñ kā ishāra na milā
zindagī bhar hameñ jiine kā sahārā na milā
log kahte haiñ gulistāñ meñ bahār aa.ī hai
maiñ ye kahtā huuñ mujhe dard kā chārā na milā
ham-nashīñ kyoñ na kareñ gardish-e-daurāñ ko salām
ham sā koī hameñ taqdīr kā maarā na milā
tere jalvoñ kā bharam khol hī detā lekin
chashm-e-bīnā to milī zauq-e-nazāra na milā
ham ne dekhā to har ik zarre meñ paayā tum ko
aur DhūñDā to kahīñ saaya tumhārā na milā
kyā kaheñ zulf sañvārī thī kisī ne hamdam
raat gardūñ pe mujhe ek bhī taara na milā
umr āḳhir huī mañjdhār meñ apnī 'muḳhtār'
aaj tak bahr-e-mohabbat kā kinārā na milā
koi dam un ko nigahon ka ishaara na mila
zindagi bhar hamein jine ka sahaara na mila
log kahte hain gulistan mein bahaar aai hai
main ye kahta hun mujhe dard ka chaara na mila
ham-nashin kyon na karen gardish-e-dauran ko salam
hum sa koi hamein taqdir ka mara na mila
tere jalwon ka bharam khol hi deta lekin
chashm-e-bina to mili zauq-e-nazara na mila
hum ne dekha to har ek zarre mein paya tum ko
aur DhunDa to kahin saya tumhaara na mila
kya kahen zulf sanwari thi kisi ne hamdam
raat gardun pe mujhe ek bhi tara na mila
umr aaKHir hui manjdhaar mein apni 'muKHtar'
aaj tak bahr-e-mohabbat ka kinara na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.