koi darwaze pe baiTha nahin dekha jata
koī darvāze pe baiThā nahīñ dekhā jaatā
kyā tire shahr meñ rasta nahīñ dekhā jaatā
uub jaate haiñ tamāshe se tamāshā.ī sab
phir bhī girtā huā parda nahīñ dekhā jaatā
yaad aa jaatā hai ākāsh se rishta apnā
ghar kā TuuTā huā ziina nahīñ dekhā jaatā
dastakeñ dene ko ye haath taḌap uThte haiñ
us ke darvāze pe taalā nahīñ dekhā jaatā
vo safar sirf janāze kā safar hotā hai
jis meñ apnā yā parāyā nahīñ dekhā jaatā
aañkh har shaḳhs ko tasvīr kā imlā bole
ek hī shaḳhs ko itnā nahīñ dekhā jaatā
jo bhī dil meñ hai vo kāġhaz pe banā do yaaro
aaj ke daur meñ chehra nahīñ dekhā jaatā
koi darwaze pe baiTha nahin dekha jata
kya tere shahr mein rasta nahin dekha jata
ub jate hain tamashe se tamashai sab
phir bhi girta hua parda nahin dekha jata
yaad aa jata hai aakash se rishta apna
ghar ka TuTa hua zina nahin dekha jata
dastaken dene ko ye hath taDap uThte hain
us ke darwaze pe tala nahin dekha jata
wo safar sirf janaze ka safar hota hai
jis mein apna ya paraya nahin dekha jata
aankh har shaKHs ko taswir ka imla bole
ek hi shaKHs ko itna nahin dekha jata
jo bhi dil mein hai wo kaghaz pe bana do yaro
aaj ke daur mein chehra nahin dekha jata
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 96)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.