koi dastak de raha hai khol darwaza abhi
koī dastak de rahā hai khol darvāza abhī
kam se kam aa jā.egī ghar meñ havā taaza abhī
be-hisī ne aaj tak baḳhshā nahīñ apnā shikār
qaum gar jaagī nahīñ bikhregā shīrāza abhī
kab na jaane shar kī koī zarb chehre par paḌe
ham ne mushkil se lagāyā amn kā ġhāza abhī
zalzala mismār kar saktā hai ye ūñche mahal
qudratī āfāt kā mushkil hai andāza abhī
zālimo mazlūm kī aaheñ dikhā.eñgī asar
tum agar samjhe nahīñ bhugtoge ḳhamyāza abhī
koi dastak de raha hai khol darwaza abhi
kam se kam aa jaegi ghar mein hawa taza abhi
be-hisi ne aaj tak baKHsha nahin apna shikar
qaum gar jagi nahin bikhrega shiraaza abhi
kab na jaane shar ki koi zarb chehre par paDe
hum ne mushkil se lagaya amn ka ghaza abhi
zalzala mismar kar sakta hai ye unche mahal
qudrati aafat ka mushkil hai andaza abhi
zalimo mazlum ki aahen dikhaengi asar
tum agar samjhe nahin bhugtoge KHamyaza abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.