koi daulat ka pujari ho koi tadbir ka
koī daulat kā pujārī ho koī tadbīr kā
vaar chal jaatā hai har ik shaḳhs par taqdīr kā
ik nayā ġham roz miltā hai purāne ġham ke saath
silsila TūTegā kab is dard kī zanjīr kā
sāzishoñ ke jaal hī phaile haiñ har ik raah meñ
pyaar kā rāñjhā bhī ḳhud mujrim hai apnī hiir kā
dhīre dhīre zaḳhm par añgūr aa hī jā.egā
chup hī rahnā chāhiye kyā fā.eda tash.hīr kā
surḳh āñchal meñ dahakte phuul kī sūrat 'suhail'
ab talak āñkhoñ meñ naqsha hai usī tasvīr kā
koi daulat ka pujari ho koi tadbir ka
war chal jata hai har ek shaKHs par taqdir ka
ek naya gham roz milta hai purane gham ke sath
silsila TuTega kab is dard ki zanjir ka
sazishon ke jal hi phaile hain har ek rah mein
pyar ka ranjha bhi KHud mujrim hai apni hir ka
dhire dhire zaKHm par angur aa hi jaega
chup hi rahna chahiye kya faeda tashhir ka
surKH aanchal mein dahakte phul ki surat 'suhail'
ab talak aankhon mein naqsha hai usi taswir ka
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 334)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.