koi dekhe to sahi ye sitam-arai bhi
koī dekhe to sahī ye sitam-ārā.ī bhī
ḳhud tamāshā bhī huuñ maiñ aur tamāshā.ī bhī
raaz hai un kā ajab un kī ye yaktā.ī bhī
maiñ tamanna bhī huuñ aur un kā tamannā.ī bhī
haath phailā.ūñ tire hote maiñ kis ke aage
is meñ merī hī nahīñ hai tirī rusvā.ī bhī
aql vāloñ kī nigāhoñ pe paḌe haiñ parde
parda-e-ishq meñ duurī bhī hai yakjā.ī bhī
haal ham ahl-e-ḳhirad kā hai zamāne meñ ajab
ham shanāsā bhī haiñ mahrūm-e-shanāsā.ī bhī
vo to har haal meñ maujūd hai shah-rag ke qarīb
is ko kahte haiñ kahīñ ālam-e-tanhā.ī bhī
koī samjhe bhī to kyā us ko samajh paa.e 'ġhubār'
parda-dārī bhī hai aur anjuman-ārā.ī bhī
koi dekhe to sahi ye sitam-arai bhi
KHud tamasha bhi hun main aur tamashai bhi
raaz hai un ka ajab un ki ye yaktai bhi
main tamanna bhi hun aur un ka tamannai bhi
hath phailaun tere hote main kis ke aage
is mein meri hi nahin hai teri ruswai bhi
aql walon ki nigahon pe paDe hain parde
parda-e-ishq mein duri bhi hai yakjai bhi
haal hum ahl-e-KHirad ka hai zamane mein ajab
hum shanasa bhi hain mahrum-e-shanasai bhi
wo to har haal mein maujud hai shah-rag ke qarib
is ko kahte hain kahin aalam-e-tanhai bhi
koi samjhe bhi to kya us ko samajh pae 'ghubar'
parda-dari bhi hai aur anjuman-arai bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.