koi diwana ek ik gam pe manzil mange
koī dīvāna ik ik gaam pe manzil māñge
zarre zarre se ayaañ jalva-e-mahmil māñge
kashti-e-dil mirī tūfān se sāhil māñge
zindagī karne ko har kaam vo mushkil māñge
hai karam terā ki baḳhshī hai mujhe chashm-e-ḳhirad
sham-e-ulfat bhī ilāhī ye mirā dil māñge
dil ki jaltā hai tirī yaad meñ mānind-e-charāġh
rashk-e-firdaus-e-barīñ phir vahī mahfil māñge
husn ko ġhāza-o-ārā.ish-e-kākul chāhe
ā.ina-sāz bhī ā.īna muqābil māñge
husn betāb hai ḳhud jalva-numā.ī ke liye
chashm-e-pur-shauq vo ai dil sar-e-mahfil māñge
jāñ-nisārī mirī be-misl hai lekin phir bhī
ishq kī mujh se nishānī mirā qātil māñge
aaj duniyā meñ mohabbat kā kahīñ naam nahīñ
koī batlā.e ki kyā aur mirā dil māñge
ishq kī raah ho tai yūñhī 'payāmī' ki raqīb
tere har naqsh-e-kaf-e-pā se vo manzil māñge
koi diwana ek ek gam pe manzil mange
zarre zarre se ayan jalwa-e-mahmil mange
kashti-e-dil meri tufan se sahil mange
zindagi karne ko har kaam wo mushkil mange
hai karam tera ki baKHshi hai mujhe chashm-e-KHirad
sham-e-ulfat bhi ilahi ye mera dil mange
dil ki jalta hai teri yaad mein manind-e-charagh
rashk-e-firdaus-e-barin phir wahi mahfil mange
husn ko ghaza-o-araish-e-kakul chahe
aaina-saz bhi aaina muqabil mange
husn betab hai KHud jalwa-numai ke liye
chashm-e-pur-shauq wo ai dil sar-e-mahfil mange
jaan-nisari meri be-misl hai lekin phir bhi
ishq ki mujh se nishani mera qatil mange
aaj duniya mein mohabbat ka kahin nam nahin
koi batlae ki kya aur mera dil mange
ishq ki rah ho tai yunhi 'payami' ki raqib
tere har naqsh-e-kaf-e-pa se wo manzil mange
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.