koi diwar uThai na koi dar rakkha
koī dīvār uThā.ī na koī dar rakkhā
iiñT ko takiya kiyā ret ko bistar rakkhā
pahle āñkhoñ meñ tirā 'aks utārā maiñ ne
aur in āñkhoñ ko shīshe meñ sajā kar rakkhā
is se taskīn nahīñ hogā izāfa dukh meñ
dasht kā naam agar ham ne samandar rakkhā
phuul bhijvā.e kabhī she'r kiye naam tire
ham ne ai shaḳhs tujhe yaad hai aksar rakkhā
darmiyāñ apne faqat ruuh kī duurī bachī thī
ham ne phir bhī tire pahlū meñ nahīñ sar rakkhā
varna har aglā qadam pīchhe haTātā mujh ko
shukr-sad-shukr ki kuchh dhyān na ghar par rakkhā
mashvara chāhiye thā kal tire baare meñ mujhe
na milā koī to ā.īna barābar rakkhā
koi diwar uThai na koi dar rakkha
inT ko takiya kiya ret ko bistar rakkha
pahle aankhon mein tera 'aks utara main ne
aur in aankhon ko shishe mein saja kar rakkha
is se taskin nahin hoga izafa dukh mein
dasht ka nam agar hum ne samandar rakkha
phul bhijwae kabhi she'r kiye nam tere
hum ne ai shaKHs tujhe yaad hai aksar rakkha
darmiyan apne faqat ruh ki duri bachi thi
hum ne phir bhi tere pahlu mein nahin sar rakkha
warna har agla qadam pichhe haTata mujh ko
shukr-sad-shukr ki kuchh dhyan na ghar par rakkha
mashwara chahiye tha kal tere bare mein mujhe
na mila koi to aaina barabar rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.