koi din sabr ke phir mundamil ho jaega gham
koī din sabr ke phir mundamil ho jā.egā ġham
nishāñ rah jā.egā aur mustaqil ho jā.egā ġham
kisī lambe safar meñ shaam ho jā.egī ġham ko
kahīñ ik raah takte muzmahil ho jā.egā ġham
kise ma.alūm thā kaam aa.egī sīna-ḳharāshī
aur is siine meñ āḳhir-kār dil ho jā.egā ġham
ufuq par Dūbte dukh se sitāre kah rahe haiñ
chamak uTTheñge ham jab muntaqil ho jā.egā ġham
kisī fursat kī shab dil par udāsī chhā.egī aur
kisī masrūf din par mushtamil ho jā.egā ġham
tumheñ hasrat se ham dekheñge aur tum muskurānā
us ik lamhe meñ jab aa kar muḳhil ho jā.egā ġham
chalegī yaad jab tanhā.ī meñ rauzan khulegā
maza aa jā.egā jab munfa.il ho jā.egā ġham
kahāñ ḳhalvat mayassar aa.egī kam-fursatoñ ko
judā hogī ḳhushī to muttasil ho jā.egā ġham
ḳhushī ik DhūñDne niklegā ġham lekin achānak
baham ho kar kisī ġham se ḳhajil ho jā.egā ġham
koi din sabr ke phir mundamil ho jaega gham
nishan rah jaega aur mustaqil ho jaega gham
kisi lambe safar mein sham ho jaegi gham ko
kahin ek rah takte muzmahil ho jaega gham
kise malum tha kaam aaegi sina-KHarashi
aur is sine mein aaKHir-kar dil ho jaega gham
ufuq par Dubte dukh se sitare kah rahe hain
chamak uTThenge hum jab muntaqil ho jaega gham
kisi fursat ki shab dil par udasi chhaegi aur
kisi masruf din par mushtamil ho jaega gham
tumhein hasrat se hum dekhenge aur tum muskurana
us ek lamhe mein jab aa kar muKHil ho jaega gham
chalegi yaad jab tanhai mein rauzan khulega
maza aa jaega jab munfail ho jaega gham
kahan KHalwat mayassar aaegi kam-fursaton ko
juda hogi KHushi to muttasil ho jaega gham
KHushi ek DhunDne niklega gham lekin achanak
baham ho kar kisi gham se KHajil ho jaega gham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.