koi diya sar-e-dosh-e-hawa jala dunga
koī diyā sar-e-dosh-e-havā jalā dūñgā
havā-e-shahr-e-sitam ko maiñ yuuñ sazā dūñgā
adū ko apne maiñ is tarah se rulā dūñgā
ki tiir khā ke sar-e-razm muskurā dūñgā
agar kisī ne mujhe hausla nahīñ baḳhshā
maiñ apne aap ko ḳhud baḌh ke hausla dūñgā
jo ḳhud ko husn kā paikar samajhtā rahtā hai
maiñ ab kī baar use aa.ina dikhā dūñgā
palaT ke aa.egā vo mere paas ai 'nūrī'
jo darmiyāñ se fasīl-e-anā girā dūñgā
koi diya sar-e-dosh-e-hawa jala dunga
hawa-e-shahr-e-sitam ko main yun saza dunga
adu ko apne main is tarah se rula dunga
ki tir kha ke sar-e-razm muskura dunga
agar kisi ne mujhe hausla nahin baKHsha
main apne aap ko KHud baDh ke hausla dunga
jo KHud ko husn ka paikar samajhta rahta hai
main ab ki bar use aaina dikha dunga
palaT ke aaega wo mere pas ai 'nuri'
jo darmiyan se fasil-e-ana gira dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.