koi duniya mein aisa kaam karo
koī duniyā meñ aisā kaam karo
jis se ūñchā tum apnā naam karo
aaj kā kaam kal pe mat Taalo
kal jo karnā hai ab vo kaam karo
ham bhī insāñ haiñ tum bhī insāñ ho
yuuñ na insāñ kā qatl-e-ām karo
dushmanoñ ko kabhī burā na kaho
dosto dostī ko aam karo
sub.h hote hī ghar chale jaanā
aaj kī shab yahīñ qiyām karo
ye nishānī haiñ agle vaqtoñ kī
in buzurgoñ kā ehtirām karo
is se barbād vaqt hotā hai
ham se va.ade na sub.h-o-shām karo
shaiḳh jī mai-kade meñ aate haiñ
mai-kasho uTTho ehtirām karo
koi duniya mein aisa kaam karo
jis se uncha tum apna nam karo
aaj ka kaam kal pe mat Talo
kal jo karna hai ab wo kaam karo
hum bhi insan hain tum bhi insan ho
yun na insan ka qatl-e-am karo
dushmanon ko kabhi bura na kaho
dosto dosti ko aam karo
subh hote hi ghar chale jaana
aaj ki shab yahin qiyam karo
ye nishani hain agle waqton ki
in buzurgon ka ehtiram karo
is se barbaad waqt hota hai
hum se wade na subh-o-sham karo
shaiKH ji mai-kade mein aate hain
mai-kasho uTTho ehtiram karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.