koi ehsas mukammal nahin rahne deta
koī ehsās mukammal nahīñ rahne detā
dard kā saath musalsal nahīñ rahne detā
hosh kī sard nigāhoñ se take jaatā hai
kaun hai jo mujhe pāgal nahīñ rahne detā
vaqt tūfān-e-balā-ḳhez ke gardāb meñ hai
sar pe mere mirā āñchal nahīñ rahne detā
haath phailā.ūñ to chhū letā hai jhoñke kī tarah
ek pal bhī mujhe be-kal nahīñ rahne detā
ḳhvāb ke taaq pe rakkhī haiñ ye āñkheñ kab se
vo mirī niiñd mukammal nahīñ rahne detā
mere is shahr meñ ik aa.ina aisā hai ki jo
mujh ko us shaḳhs se ojhal nahīñ rahne detā
koi ehsas mukammal nahin rahne deta
dard ka sath musalsal nahin rahne deta
hosh ki sard nigahon se take jata hai
kaun hai jo mujhe pagal nahin rahne deta
waqt tufan-e-bala-KHez ke gardab mein hai
sar pe mere mera aanchal nahin rahne deta
hath phailaun to chhu leta hai jhonke ki tarah
ek pal bhi mujhe be-kal nahin rahne deta
KHwab ke taq pe rakkhi hain ye aankhen kab se
wo meri nind mukammal nahin rahne deta
mere is shahr mein ek aaina aisa hai ki jo
mujh ko us shaKHs se ojhal nahin rahne deta
- Book : Sadiyo.n Jaise Pal (Pg. 145)
- Author : AMBARIN SALAHUDDIN
- Publication : AMBARIN SALAHUDDIN (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.