koi faza-e-ah-o-fughan mein nahin raha
koī fazā-e-āh-o-fuġhāñ meñ nahīñ rahā
yā'nī sukūn-e-dil ke jahāñ meñ nahīñ rahā
itnā nahīñ ki sirf mirī maañ nahīñ rahī
maiñ ab ḳhudā ke hifz-o-amāñ meñ nahīñ rahā
is dukh pe mere saath parinde sharīk haiñ
ik peḌ thā jo mere makāñ meñ nahīñ rahā
mujh ko faroḳht kar ke ḳhasāra huā use
sāmāñ jo qīmtī thā dukāñ meñ nahīñ rahā
tum the to ḳhair-o-shar kī samajh-būjh thī hameñ
ab koī lutf sūd-o-ziyāñ meñ nahīñ rahā
koī jahāñ pe aaj hai kal thā vahāñ koī
yā'nī fulāñ meñ jo hai fulāñ meñ nahīñ rahā
ik sabz haath chhū gayā 'miqdād' is tarah
jhaḌne kā ḳhauf ham ko ḳhizāñ meñ nahīñ rahā
koi faza-e-ah-o-fughan mein nahin raha
ya'ni sukun-e-dil ke jahan mein nahin raha
itna nahin ki sirf meri man nahin rahi
main ab KHuda ke hifz-o-aman mein nahin raha
is dukh pe mere sath parinde sharik hain
ek peD tha jo mere makan mein nahin raha
mujh ko faroKHt kar ke KHasara hua use
saman jo qimti tha dukan mein nahin raha
tum the to KHair-o-shar ki samajh-bujh thi hamein
ab koi lutf sud-o-ziyan mein nahin raha
koi jahan pe aaj hai kal tha wahan koi
ya'ni fulan mein jo hai fulan mein nahin raha
ek sabz hath chhu gaya 'miqdad' is tarah
jhaDne ka KHauf hum ko KHizan mein nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.