koi ghaalib jaanta hai koi KHaqani mujhe
koī 'ġhālib' jāntā hai koī 'ḳhāqānī' mujhe
haa.e duniyā kaise pahchānī jo pahchānī mujhe
tai kiyā hai ik ġhazal kahnī hai rūmānī mujhe
aur phir sab she'r bhī kahne haiñ zū-mā'nī mujhe
jugnuoñ se chāhtā huuñ shams jaisī raushnī
mahv-e-hairat dekhtī hai merī nādānī mujhe
maiñ ġhazal se aur ġhazal rakhtī hai mujh se apne dukh
raat kī raanī ko maiñ huuñ raat kī raanī mujhe
chāñd sūraj kar liye tasḳhīr is ke bāvajūd
haa.e ab tak bhī na aa.ī chashm-e-gul-ḳhvānī mujhe
jo hadīs-e-‘ishq un āñkhoñ meñ hotī haiñ raqam
un kī 'tāhir' kis tarah tafsīr farmānī mujhe
koi 'ghaalib' jaanta hai koi 'KHaqani' mujhe
hae duniya kaise pahchani jo pahchani mujhe
tai kiya hai ek ghazal kahni hai rumani mujhe
aur phir sab she'r bhi kahne hain zu-ma'ni mujhe
jugnuon se chahta hun shams jaisi raushni
mahw-e-hairat dekhti hai meri nadani mujhe
main ghazal se aur ghazal rakhti hai mujh se apne dukh
raat ki rani ko main hun raat ki rani mujhe
chand suraj kar liye tasKHir is ke bawajud
hae ab tak bhi na aai chashm-e-gul-KHwani mujhe
jo hadis-e-‘ishq un aankhon mein hoti hain raqam
un ki 'tahir' kis tarah tafsir farmani mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.