koi ghaibi ishaara ho raha hai
koī ġhaibī ishāra ho rahā hai
badan tap kar sharāra ho rahā hai
mire andar diye jalne lage haiñ
vo mujh par āshkārā ho rahā hai
khaḌā huuñ hijr ke kis āsmāñ par
ki har aañsū sitārā ho rahā hai
duā ḳhurshīd kī māñgī hai maiñ ne
charāġhoñ par guzārā ho rahā hai
vahīñ par naav Duubī hai hamārī
jahāñ dariyā kinārā ho rahā hai
koi ghaibi ishaara ho raha hai
badan tap kar sharara ho raha hai
mere andar diye jalne lage hain
wo mujh par aashkara ho raha hai
khaDa hun hijr ke kis aasman par
ki har aansu sitara ho raha hai
dua KHurshid ki mangi hai main ne
charaghon par guzara ho raha hai
wahin par naw Dubi hai hamari
jahan dariya kinara ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.