koi ghamgin koi KHush ho kar sada deta raha
koi ghamgin koi KHush ho kar sada deta raha
Hasan Najmi Sikandarpuri
MORE BYHasan Najmi Sikandarpuri
koī ġhamgīñ koī ḳhush ho kar sadā detā rahā
raat shahr-e-dil kā har manzar sadā detā rahā
sañgsārī kī sazā Thahrī thī jin ke vāste
un ko pahle hī se har patthar sadā detā rahā
mere karb-e-tishnagī par raat shīshe ro paḌe
ḳhushk hoñToñ ko mire sāġhar sadā detā rahā
nashsha-e-sahrā-navardī meñ tujhe kab hosh thā
tujh ko shahr-e-gul kā ik ik ghar sadā detā rahā
kho ga.ī jab aañkh 'najmī' yaad aayā ḳhvāb meñ
ham ko shāyad ik parī-paikar sadā detā rahā
koi ghamgin koi KHush ho kar sada deta raha
raat shahr-e-dil ka har manzar sada deta raha
sangsari ki saza Thahri thi jin ke waste
un ko pahle hi se har patthar sada deta raha
mere karb-e-tishnagi par raat shishe ro paDe
KHushk honTon ko mere saghar sada deta raha
nashsha-e-sahra-nawardi mein tujhe kab hosh tha
tujh ko shahr-e-gul ka ek ek ghar sada deta raha
kho gai jab aankh 'najmi' yaad aaya KHwab mein
hum ko shayad ek pari-paikar sada deta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.