koi gar ashk bhi ponchhe to gham halka nahin hota
koī gar ashk bhī poñchhe to ġham halkā nahīñ hotā
ghaḌī aage baḌhā dene se din chhoTā nahīñ hotā
pilātī haiñ kise ab duudh maa.eñ bā-vazū ho kar
tabhī to ham meñ ab Tiipū koī paidā nahīñ hotā
gunāhoñ kī bhayānak barf-bārī ham ko khā jaatī
ḳhudā ke rahm kā sūraj agar chamkā nahīñ hotā
kahīñ bhī jā ke bas jaa.eñ vatan kī yaad aatī hai
kisī sautelī maañ se mutma.in beTā nahīñ hotā
tirī yādoñ ke dariyā meñ har ik shab ye nahātī haiñ
badan ġhazloñ kā merī aise hī gorā nahīñ hotā
'nabīl' iḳhlās bas dehāt ke logoñ kā sheva hai
kisī bhī shahr kī miTTī meñ ye paudā nahīñ hotā
koi gar ashk bhi ponchhe to gham halka nahin hota
ghaDi aage baDha dene se din chhoTa nahin hota
pilati hain kise ab dudh maen ba-wazu ho kar
tabhi to hum mein ab Tipu koi paida nahin hota
gunahon ki bhayanak barf-bari hum ko kha jati
KHuda ke rahm ka suraj agar chamka nahin hota
kahin bhi ja ke bas jaen watan ki yaad aati hai
kisi sauteli man se mutmain beTa nahin hota
teri yaadon ke dariya mein har ek shab ye nahati hain
badan ghazlon ka meri aise hi gora nahin hota
'nabil' iKHlas bas dehat ke logon ka shewa hai
kisi bhi shahr ki miTTi mein ye pauda nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.