koi gardish mein hai kya dasht se ghar tak ab bhi
koi gardish mein hai kya dasht se ghar tak ab bhi
Ghulam Husain Sajid
MORE BYGhulam Husain Sajid
koī gardish meñ hai kyā dasht se ghar tak ab bhī
ḳhaak uḌtī hai mirī hadd-e-nazar tak ab bhī
le ga.ī khīñch ke shāyad unheñ miTTī kī mahak
uḌ ke pahuñche nahīñ kuchh phuul shajar tak ab bhī
rizq ban jā.eñge kuchh der meñ tārīkī kā
mahv-e-parvāz haiñ jo shams-o-qamar tak ab bhī
apnī buniyād pe qaa.em haiñ mire hosh-o-havās
ḳhuun chaḌhtā hai mire paañv se sar tak ab bhī
jin ko paane kī tamannā hai azal se mire saath
haath pahuñchā nahīñ un barg-o-samar tak ab bhī
khul nahīñ paayā mirī ruuh pe sahrā 'sājid'
ya.anī mahdūd huuñ maiñ sair-o-safar tak ab bhī
koi gardish mein hai kya dasht se ghar tak ab bhi
KHak uDti hai meri hadd-e-nazar tak ab bhi
le gai khinch ke shayad unhen miTTi ki mahak
uD ke pahunche nahin kuchh phul shajar tak ab bhi
rizq ban jaenge kuchh der mein tariki ka
mahw-e-parwaz hain jo shams-o-qamar tak ab bhi
apni buniyaad pe qaem hain mere hosh-o-hawas
KHun chaDhta hai mere panw se sar tak ab bhi
jin ko pane ki tamanna hai azal se mere sath
hath pahuncha nahin un barg-o-samar tak ab bhi
khul nahin paya meri ruh pe sahra 'sajid'
yani mahdud hun main sair-o-safar tak ab bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.