koi hadisa koi waqia na kaha hua na suna hua
koī hādisa koī vāqi'a na kahā huā na sunā huā
vahī choT dil pe lagī huī vahī dard terā diyā huā
ise pesh kar mire nāma-bar ye thakī thakī mirī chashm-e-tar
yahī ek nāma-e-muḳhtasar na likhā huā na paḌhā huā
tirā ḳhat hai yā koī zaḳhm-e-dil kahīñ mundamil kahīñ mustaqil
kahīñ ḳhūn-e-dil se likhā huā kahīñ āñsuoñ se miTā huā
koī mahv-e-husn-o-jamāl thā ki kamāl-e-shauq-e-visāl thā
lab-e-auj-e-sidra-e-muntahā na rukā huā na thakā huā
tire madrasoñ meñ kahāñ rahī vo dil-o-zamīr kī raushnī
terī ḳhānqāh se bū-zarī kā jalāl kab kā havā huā
vahī but-faroshī-o-but-garī vahī jurm-e-sheva-e-āzarī
vahī sāmrī vahī sāhirī vahī tuur sar pe uThā huā
ye sharar sharar rah-e-pur-ḳhatar ye shikasta par ye qafas kā Dar
kabhī is ke dar kabhī us ke dar kabhī dar-ba-dar sā kiyā huā
vo hikāyateñ vo shikāyateñ na kahī huī na sunī huī
ye junūñ kī āh-e-falak-rasā vo charāġh-e-husn bujhā huā
use raas aa na sakī kabhī sar-e-mai-kada tirī be-ruḳhī
vahī terā 'bazmī' vo bāda-kash na jhukā huā na bikā huā
koi hadisa koi waqi'a na kaha hua na suna hua
wahi choT dil pe lagi hui wahi dard tera diya hua
ise pesh kar mere nama-bar ye thaki thaki meri chashm-e-tar
yahi ek nama-e-muKHtasar na likha hua na paDha hua
tera KHat hai ya koi zaKHm-e-dil kahin mundamil kahin mustaqil
kahin KHun-e-dil se likha hua kahin aansuon se miTa hua
koi mahw-e-husn-o-jamal tha ki kamal-e-shauq-e-visal tha
lab-e-auj-e-sidra-e-muntaha na ruka hua na thaka hua
tere madrason mein kahan rahi wo dil-o-zamir ki raushni
teri KHanqah se bu-zari ka jalal kab ka hawa hua
wahi but-faroshi-o-but-gari wahi jurm-e-shewa-e-azari
wahi samri wahi sahiri wahi tur sar pe uTha hua
ye sharar sharar rah-e-pur-KHatar ye shikasta par ye qafas ka Dar
kabhi is ke dar kabhi us ke dar kabhi dar-ba-dar sa kiya hua
wo hikayaten wo shikayaten na kahi hui na suni hui
ye junun ki aah-e-falak-rasa wo charagh-e-husn bujha hua
use ras aa na saki kabhi sar-e-mai-kada teri be-ruKHi
wahi tera 'bazmi' wo baada-kash na jhuka hua na bika hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.