koi hangama na aahaT na sada hai koi
koī hangāma na aahaT na sadā hai koī
dil kī dahlīz pe phir qatl huā hai koī
shahr-e-tanhā.ī mo.attar hai tirī yādoñ se
phuul ehsās ke gulshan meñ khilā hai koī
kyoñ mohabbat ke charāġhoñ se dhuāñ uThtā hai
band kamre meñ yahī soch rahā hai koī
ḳhvāb hī ḳhvāb ke jalve haiñ mirī āñkhoñ meñ
vādī-e-zehn meñ bedār huā hai koī
pahle afkār ke sho.aloñ meñ tapā huuñ barsoñ
tab kahīñ sher ko mafhūm milā hai koī
kaun insān kī pahchān banegā 'nashtar'
har bashar shahr kā lagtā hai ḳhudā hai koī
koi hangama na aahaT na sada hai koi
dil ki dahliz pe phir qatl hua hai koi
shahr-e-tanhai moattar hai teri yaadon se
phul ehsas ke gulshan mein khila hai koi
kyon mohabbat ke charaghon se dhuan uThta hai
band kamre mein yahi soch raha hai koi
KHwab hi KHwab ke jalwe hain meri aankhon mein
wadi-e-zehn mein bedar hua hai koi
pahle afkar ke shoalon mein tapa hun barson
tab kahin sher ko mafhum mila hai koi
kaun insan ki pahchan banega 'nashtar'
har bashar shahr ka lagta hai KHuda hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.