koi hansta hua chehra bhi hua karta tha
koī hañstā huā chehra bhī huā kartā thā
dil kabhī ā.ina-ḳhāna bhī huā kartā thā
maiñ kisī kā bhī nahīñ kahte hue phirtā hai jo
ik zamāna thā maiñ us kā bhī huā kartā thā
ek tasvīr purānī sī batātī hai mujhe
maiñ kisī daur meñ aisā bhī huā kartā thā
ab to bas ek adākār kī āvāz huuñ maiñ
is se pahle mirā chehra bhī huā kartā thā
ab to dīvār hī dīvār hai har-sū lekin
pahle is sahn meñ rasta bhī huā kartā thā
koī shaitān to us daur meñ bhī hotā thā
tab magar ek farishta bhī huā kartā thā
ab isī ghar meñ musallat hai koī ḳhāmoshī
tab isī ghar meñ tamāsha bhī huā kartā thā
koi hansta hua chehra bhi hua karta tha
dil kabhi aaina-KHana bhi hua karta tha
main kisi ka bhi nahin kahte hue phirta hai jo
ek zamana tha main us ka bhi hua karta tha
ek taswir purani si batati hai mujhe
main kisi daur mein aisa bhi hua karta tha
ab to bas ek adakar ki aawaz hun main
is se pahle mera chehra bhi hua karta tha
ab to diwar hi diwar hai har-su lekin
pahle is sahn mein rasta bhi hua karta tha
koi shaitan to us daur mein bhi hota tha
tab magar ek farishta bhi hua karta tha
ab isi ghar mein musallat hai koi KHamoshi
tab isi ghar mein tamasha bhi hua karta tha
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 118)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.