koi ho dard-e-musalsal to nind aati hai
koī ho dard-e-musalsal to niiñd aatī hai
badan meñ ho koī halchal to niiñd aatī hai
hameñ sukūn mayassar nahīñ hai ik pal bhī
tumhārī yaad ho pal-pal to niiñd aatī hai
talab nahīñ hai kisī aur ḳhush-badan kī hameñ
tumhārā paas ho āñchal to niiñd aatī hai
kabhī na tum se rahī guftugū adhūrī sī
ġhazal ho jab bhī mukammal to niiñd aatī hai
ajiib ḳhauf sā lāhaq hai bastiyoñ se hameñ
qarīb ho koī jangal to niiñd aatī hai
pasand hai hameñ shorish fasād gird-o-navāh
agar ho shahr mo.attal to niiñd aatī hai
badal diyā hai zamāne ne yuuñ hamārā mizāj
sajā huā ho jo maqtal to niiñd aatī hai
kaḌak rahī ho jo bijlī to Dar nahīñ lagtā
garaj rahe hoñ jo bādal to niiñd aatī hai
koī bhī ḳhvāb Darātā nahīñ hai ab 'ātir'
dikhā.ī de hameñ daldal to niiñd aatī hai
koi ho dard-e-musalsal to nind aati hai
badan mein ho koi halchal to nind aati hai
hamein sukun mayassar nahin hai ek pal bhi
tumhaari yaad ho pal-pal to nind aati hai
talab nahin hai kisi aur KHush-badan ki hamein
tumhaara pas ho aanchal to nind aati hai
kabhi na tum se rahi guftugu adhuri si
ghazal ho jab bhi mukammal to nind aati hai
ajib KHauf sa lahaq hai bastiyon se hamein
qarib ho koi jangal to nind aati hai
pasand hai hamein shorish fasad gird-o-nawah
agar ho shahr moattal to nind aati hai
badal diya hai zamane ne yun hamara mizaj
saja hua ho jo maqtal to nind aati hai
kaDak rahi ho jo bijli to Dar nahin lagta
garaj rahe hon jo baadal to nind aati hai
koi bhi KHwab Daraata nahin hai ab 'atir'
dikhai de hamein daldal to nind aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.