koi ho moatabar se moatabar dekha nahin jata
koī ho mo'atabar se mo'atabar dekhā nahīñ jaatā
libās-e-rāhzan meñ rāhbar dekhā nahīñ jaatā
kabhī parvāz thī jin tā.eroñ kī āsmānoñ meñ
zamīñ par ab unheñ be-bāl-o-par dekhā nahīñ jaatā
tumhāre sang-e-dar se uTh ke jaa.eñ to kahāñ jaa.eñ
ki ham se ab kisī kā sang-e-dar dekhā nahīñ jaatā
shuā.eñ husn kī ḳhīra kiye detī haiñ nazroñ ko
vo mahfil meñ haiñ be-parda magar dekhā nahīñ jaatā
urūs-e-shab ke bistar par mahak kar jo hue qurbāñ
unheñ phūloñ ko ab vaqt-e-sahar dekhā nahīñ jaatā
samajhtā huuñ vo zālim bevafā bhī hai sitamgar bhī
magar phir bhī use bā-chashm-e-tar dekhā nahīñ jaatā
marīz-e-ġham kī hālat laakh ho māyūs-kun logo
magar māyūs ham se chārāgar dekhā nahīñ jaatā
havādis par zamāne ke jise hañsnā na aatā ho
hamārī bazm meñ vo nauhagar dekhā nahīñ jaatā
ye kyā kam hai gavāra kar liyā barbādī-e-dil ko
magar ai 'fauq' ab ḳhūn-e-jigar dekhā nahīñ jaatā
koi ho mo'atabar se mo'atabar dekha nahin jata
libas-e-rahzan mein rahbar dekha nahin jata
kabhi parwaz thi jin taeron ki aasmanon mein
zamin par ab unhen be-baal-o-par dekha nahin jata
tumhaare sang-e-dar se uTh ke jaen to kahan jaen
ki hum se ab kisi ka sang-e-dar dekha nahin jata
shuaen husn ki KHira kiye deti hain nazron ko
wo mahfil mein hain be-parda magar dekha nahin jata
urus-e-shab ke bistar par mahak kar jo hue qurban
unhen phulon ko ab waqt-e-sahar dekha nahin jata
samajhta hun wo zalim bewafa bhi hai sitamgar bhi
magar phir bhi use ba-chashm-e-tar dekha nahin jata
mariz-e-gham ki haalat lakh ho mayus-kun logo
magar mayus hum se chaaragar dekha nahin jata
hawadis par zamane ke jise hansna na aata ho
hamari bazm mein wo nauhagar dekha nahin jata
ye kya kam hai gawara kar liya barbaadi-e-dil ko
magar ai 'fauq' ab KHun-e-jigar dekha nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.