koi ilzam na duniya mein kisi par rakhna
koī ilzām na duniyā meñ kisī par rakhnā
dil lahū ho bhī to chehre ko gul-e-tar rakhnā
ḳhaak kā ho ki ho kāñToñ kā vo bistar ai dost
niiñd aa jā.egī takiya tū ḳhudā par rakhnā
kyā ḳhabar raah meñ kab saath ḳhushī kā chhūTe
zindagī ġham ko bhī saath apne barābar rakhnā
dekh āñkhoñ kī zamīñ hai na laraz jaa.e kahīñ
ai tasavvur tū yahāñ paañv sañbhal kar rakhnā
zānu-e-yār samajh kar use so jā.eñge
ham ġharīboñ ke sirhāne zarā patthar rakhnā
chāhtā hai ye mire daur kā dastūr 'nasīb'
tishnagī dil meñ to āñkhoñ meñ samundar rakhnā
koi ilzam na duniya mein kisi par rakhna
dil lahu ho bhi to chehre ko gul-e-tar rakhna
KHak ka ho ki ho kanTon ka wo bistar ai dost
nind aa jaegi takiya tu KHuda par rakhna
kya KHabar rah mein kab sath KHushi ka chhuTe
zindagi gham ko bhi sath apne barabar rakhna
dekh aankhon ki zamin hai na laraz jae kahin
ai tasawwur tu yahan panw sanbhal kar rakhna
zanu-e-yar samajh kar use so jaenge
hum gharibon ke sirhane zara patthar rakhna
chahta hai ye mere daur ka dastur 'nasib'
tishnagi dil mein to aankhon mein samundar rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.