koi ishq mein jal gaya tur ho kar
koī ishq meñ jal gayā tuur ho kar
chaḌhā daar par koī mansūr ho kar
sarāpā qarābat banā jā rahā huuñ
tire jām-e-furqat meñ maḳhmūr ho kar
yahāñ ek sūrat hai naġhma-o-āh kī
jo niklā hai hasrat se māmūr ho kar
tasavvur meñ aanā tasavvur meñ jaanā
vo nazdīk aa.e bahut duur ho kar
fasāna-e-dil pūchhne ko na aa.e
rahā dil kā dil meñ hī mastūr ho kar
uThe aa rahe haiñ nigāhoñ ke sāġhar
kahīñ pī na jā.ūñ maiñ majbūr ho kar
banā jā rahā huuñ gunahgār ab 'prem'
tirī rahmatoñ se bahut duur ho kar
koi ishq mein jal gaya tur ho kar
chaDha dar par koi mansur ho kar
sarapa qarabat bana ja raha hun
tere jam-e-furqat mein maKHmur ho kar
yahan ek surat hai naghma-o-ah ki
jo nikla hai hasrat se mamur ho kar
tasawwur mein aana tasawwur mein jaana
wo nazdik aae bahut dur ho kar
fasana-e-dil puchhne ko na aae
raha dil ka dil mein hi mastur ho kar
uThe aa rahe hain nigahon ke saghar
kahin pi na jaun main majbur ho kar
bana ja raha hun gunahgar ab 'prem'
teri rahmaton se bahut dur ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.