koi jadu jagana chahta hun
koī jaadū jagānā chāhtā huuñ
tumheñ apnā banānā chāhtā huuñ
agar ik baar tum āvāz de do
to maiñ bhī lauT aanā chāhtā huuñ
tumhāre shahr meñ Duubā hai sūraj
musāfir huuñ Thikānā chāhtā huuñ
tumhīñ ko jītne kī aarzū hai
tumhīñ se haar jaanā chāhtā huuñ
tumhāre saath is duniyā se kuchh duur
na.ī duniyā basānā chāhtā huuñ
dukhoñ se kaun duniyā meñ bachā hai
magar tum ko bachānā chāhtā huuñ
nihāyat tez haiñ dariyā kī maujeñ
magar us paar jaanā chāhtā huuñ
abhī kuchh log haiñ us paar mere
bachā kar un ko laanā chāhtā huuñ
yahīñ hāthoñ se chhūTī thī kalā.ī
yahīñ ab Duub jaanā chāhtā huuñ
lahū dene kā mausam jā chukā hai
ab apnā āb-o-dāna chāhtā huuñ
isī shīshe se jo TuuTā huā hai
maiñ ik ḳhanjar banānā chāhtā huuñ
'sanā' is mahfil-e-sher-o-suḳhan meñ
ġhazal maiñ bhī sunānā chāhtā huuñ
koi jadu jagana chahta hun
tumhein apna banana chahta hun
agar ek bar tum aawaz de do
to main bhi lauT aana chahta hun
tumhaare shahr mein Duba hai suraj
musafir hun Thikana chahta hun
tumhin ko jitne ki aarzu hai
tumhin se haar jaana chahta hun
tumhaare sath is duniya se kuchh dur
nai duniya basana chahta hun
dukhon se kaun duniya mein bacha hai
magar tum ko bachana chahta hun
nihayat tez hain dariya ki maujen
magar us par jaana chahta hun
abhi kuchh log hain us par mere
bacha kar un ko lana chahta hun
yahin hathon se chhuTi thi kalai
yahin ab Dub jaana chahta hun
lahu dene ka mausam ja chuka hai
ab apna aab-o-dana chahta hun
isi shishe se jo TuTa hua hai
main ek KHanjar banana chahta hun
'sana' is mahfil-e-sher-o-suKHan mein
ghazal main bhi sunana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.