koi jadu na fasana na fusun hai yun hai
koī jaadū na fasāna na fusūñ hai yuuñ hai
āshiqī silsila-e-kār-e-junūñ hai yuuñ hai
tū nahīñ hai to tire hijr kī vahshat hī sahī
ki ye vahshat hī mire dil kā sukūñ hai yuuñ hai
kuchh nahīñ kahnā bhī kah detā hai saarā ahvāl
ḳhāmushī ā.īna-e-hāl-e-darūñ hai yuuñ hai
jab se dekhā hai mohabbat ko adāvat karte
tab se hoñToñ pe mire haañ hai na huuñ hai yuuñ hai
ab tire saath mirā jī nahīñ lagtā sā.īñ
tū ne pūchhā thā namī aañkh meñ kyuuñ hai yuuñ hai
aaj bhī kal kī tarah der se ghar aa.egā vo
phir bahāne vahī dohrā.egā yuuñ hai yuuñ hai
koi jadu na fasana na fusun hai yun hai
aashiqi silsila-e-kar-e-junun hai yun hai
tu nahin hai to tere hijr ki wahshat hi sahi
ki ye wahshat hi mere dil ka sukun hai yun hai
kuchh nahin kahna bhi kah deta hai sara ahwal
KHamushi aaina-e-haal-e-darun hai yun hai
jab se dekha hai mohabbat ko adawat karte
tab se honTon pe mere han hai na hun hai yun hai
ab tere sath mera ji nahin lagta sain
tu ne puchha tha nami aankh mein kyun hai yun hai
aaj bhi kal ki tarah der se ghar aaega wo
phir bahane wahi dohraega yun hai yun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.