koi jab tak ba-KHuda milta nahin
koī jab tak bā-ḳhudā miltā nahīñ
aadmī ko rāsta miltā nahīñ
dil ke andar jhāñk kar dekho zarā
kaun kahtā hai ḳhudā miltā nahīñ
haiñ nazar meñ saikḌoñ chehre magar
phuul sā koī khilā miltā nahīñ
zehn ke saare darīche band haiñ
dil kā darvāza khulā miltā nahīñ
kis qadar uljhī huī hai zindagī
Dor kā koī sirā miltā nahīñ
sar to dekhe haiñ tire dar par jhuke
dil magar koī jhukā miltā nahīñ
har davā miltī hai suntā huuñ magar
marham-e-zaḳhm-e-sadā miltā nahīñ
ai 'sadā' itne ġhamoñ ke bāvajūd
aañkh meñ aañsū bharā miltā nahīñ
koi jab tak ba-KHuda milta nahin
aadmi ko rasta milta nahin
dil ke andar jhank kar dekho zara
kaun kahta hai KHuda milta nahin
hain nazar mein saikDon chehre magar
phul sa koi khila milta nahin
zehn ke sare dariche band hain
dil ka darwaza khula milta nahin
kis qadar uljhi hui hai zindagi
Dor ka koi sira milta nahin
sar to dekhe hain tere dar par jhuke
dil magar koi jhuka milta nahin
har dawa milti hai sunta hun magar
marham-e-zaKHm-e-sada milta nahin
ai 'sada' itne ghamon ke bawajud
aankh mein aansu bhara milta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.