koi jaise dariya pe pyasa nahin
koī jaise dariyā pe pyāsā nahīñ
kitābeñ to haiñ paḌhne vaalā nahīñ
ba-zāhir bahut tez hai raushnī
magar mere ghar meñ ujālā nahīñ
mujhe ye ḳhayāl aaj kyoñ aa gayā
kabhī apne baare meñ sochā nahīñ
sab ik dūsre se juḌe haiñ magar
kisī ko kisī par bharosā nahīñ
nigāhoñ pe haiñ aisī pābandiyāñ
ki apnī taraf dekh saktā nahīñ
bahut bhiiḌ hai lekin is bhiiḌ meñ
koī mujh ko chhū kar guzartā nahīñ
sadā dījiye dastakeñ dījiye
vo darvāza andar se khultā nahīñ
ise merī shohrat samajh lījiye
kisī ne mirā naam pūchhā nahīñ
samundar ko 'nazmī' burā kyoñ kaho
tumhārā safīna to Duubā nahīñ
koi jaise dariya pe pyasa nahin
kitaben to hain paDhne wala nahin
ba-zahir bahut tez hai raushni
magar mere ghar mein ujala nahin
mujhe ye KHayal aaj kyon aa gaya
kabhi apne bare mein socha nahin
sab ek dusre se juDe hain magar
kisi ko kisi par bharosa nahin
nigahon pe hain aisi pabandiyan
ki apni taraf dekh sakta nahin
bahut bhiD hai lekin is bhiD mein
koi mujh ko chhu kar guzarta nahin
sada dijiye dastaken dijiye
wo darwaza andar se khulta nahin
ise meri shohrat samajh lijiye
kisi ne mera nam puchha nahin
samundar ko 'nazmi' bura kyon kaho
tumhaara safina to Duba nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.