koi jitna hai tarahdar kahan dekhti hai
koī jitnā hai tarahdār kahāñ dekhtī hai
maut āñkheñ lab-o-ruḳhsār kahāñ dekhtī hai
kaaT detī hai use sāmne aa.e jo bhī
sar kisī kā bhī ho talvār kahāñ dekhtī hai
bhuuk oḌhe hue phirtī hai ye maarī maarī
muflisī raunaq-e-bāzār kahāñ dekhtī hai
pesh-e-manzar ko hī hairat se faqat taktī hai
aañkh varna pas-e-dīvār kahāñ dekhtī hai
phūloñ kaliyoñ ko shaqāvat se kuchal detī hai
bād-e-sarsar gul-o-gulzār kahāñ dekhtī hai
hañste chehroñ pe nazar rakhtī hai be-dil duniyā
jo bhī hai ruuh kā āzār kahāñ dekhtī hai
dā.era kartī hai har haal meñ puurā lekin
zad hai kis kis pe ye parkār kahāñ dekhtī hai
ab to īmān-faroshoñ pe hai qaa.em bastī
kaun hai sāhib-e-kirdār kahāñ dekhtī hai
koi jitna hai tarahdar kahan dekhti hai
maut aankhen lab-o-ruKHsar kahan dekhti hai
kaT deti hai use samne aae jo bhi
sar kisi ka bhi ho talwar kahan dekhti hai
bhuk oDhe hue phirti hai ye mari mari
muflisi raunaq-e-bazar kahan dekhti hai
pesh-e-manzar ko hi hairat se faqat takti hai
aankh warna pas-e-diwar kahan dekhti hai
phulon kaliyon ko shaqawat se kuchal deti hai
baad-e-sarsar gul-o-gulzar kahan dekhti hai
hanste chehron pe nazar rakhti hai be-dil duniya
jo bhi hai ruh ka aazar kahan dekhti hai
daera karti hai har haal mein pura lekin
zad hai kis kis pe ye parkar kahan dekhti hai
ab to iman-faroshon pe hai qaem basti
kaun hai sahib-e-kirdar kahan dekhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.