koi kaman-o-tegh-o-sipar de ai maula
koī kamān-o-teġh-o-sipar de ai maulā
aahoñ meñ bhī ek asar de ai maulā
yā to duniyā ko bhī shīshe kā kar de
yā phir mujh ko patthar kar de ai maulā
rahne ko pardoñ meñ rah lūñgī lekin
bandoñ ko bhī paak nazar de ai maulā
in pariyoñ ko hājat hai ab ḳhanjar keī
chāhe un ke pañkh katar de ai maulā
din bhar Dar ke añdhiyāroñ ke saa.e haiñ
sach-much keī bhī ek sahar de ai maulā
pyaar mohabbat ḳhuub diyā maulā tū ne
laḌne kā bhī ek hunar de ai maulā
koi kaman-o-tegh-o-sipar de ai maula
aahon mein bhi ek asar de ai maula
ya to duniya ko bhi shishe ka kar de
ya phir mujh ko patthar kar de ai maula
rahne ko pardon mein rah lungi lekin
bandon ko bhi pak nazar de ai maula
in pariyon ko hajat hai ab KHanjar kei
chahe un ke pankh katar de ai maula
din bhar Dar ke andhiyaron ke sae hain
sach-much kei bhi ek sahar de ai maula
pyar mohabbat KHub diya maula tu ne
laDne ka bhi ek hunar de ai maula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.