koi kami zarur thi tera karam na mil saka
koī kamī zarūr thī terā karam na mil sakā
chhoḌ diyā sanam-kada phir bhī haram na mil sakā
ham ko bhī thī ye aarzū chalte kisī ke saath saath
log to kitne hī mile jazb-e-baham na mil sakā
ye bhī hai apnī hī ḳhatā dil meñ koī nahīñ bachā
sham.a koī na jal sakī koī sanam na mil sakā
vaqt ke mīr-o-shahryār darpa-e-jāñ haiñ is liye
apne huzūr kyoñ unheñ sar mirā ḳham na mil sakā
daar pe khīñch kar mujhe us ko kahāñ sukūñ magar
is se baḌā koī use aur sitam na mil sakā
'az.har'-e-ḳhasta-jāñ kisī dasht kī ab tū raah le
chāragaroñ ke shahr meñ chāra-e-ġham na mil sakā
koi kami zarur thi tera karam na mil saka
chhoD diya sanam-kada phir bhi haram na mil saka
hum ko bhi thi ye aarzu chalte kisi ke sath sath
log to kitne hi mile jazb-e-baham na mil saka
ye bhi hai apni hi KHata dil mein koi nahin bacha
shama koi na jal saki koi sanam na mil saka
waqt ke mir-o-shahryar darpa-e-jaan hain is liye
apne huzur kyon unhen sar mera KHam na mil saka
dar pe khinch kar mujhe us ko kahan sukun magar
is se baDa koi use aur sitam na mil saka
'azhar'-e-KHasta-jaan kisi dasht ki ab tu rah le
chaaragaron ke shahr mein chaara-e-gham na mil saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.