koi KHala hai darmiyan sarab ke
koī ḳhalā hai darmiyāñ sarāb ke
koī ḳhudā hai darmiyāñ sarāb ke
ye kaun man kī khiḌkiyoñ ko khol kar
pukārtā hai darmiyāñ sarāb ke
sarāb par use bhī e.atibār thā
jo mar gayā hai darmiyāñ sarāb ke
ye bhāgne se aaj tak na tai huā
jo fāsla hai darmiyāñ sarāb ke
maiñ jhāñktā huuñ roz ek aks meñ
koī huā hai darmiyāñ sarāb ke
koi KHala hai darmiyan sarab ke
koi KHuda hai darmiyan sarab ke
ye kaun man ki khiDkiyon ko khol kar
pukarta hai darmiyan sarab ke
sarab par use bhi eatibar tha
jo mar gaya hai darmiyan sarab ke
ye bhagne se aaj tak na tai hua
jo fasla hai darmiyan sarab ke
main jhankta hun roz ek aks mein
koi hua hai darmiyan sarab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.