koi kinaya nahin koi istiara nahin
koī kināya nahīñ koī isti.āra nahīñ
maiñ harf harf magar ab bhī āshkārā nahīñ
mirī nigāh kī vus.at pe roz girtā hai
vo āsmān ki jis meñ koī sitārā nahīñ
nadī bichhaḌ ke samundar se TuuT jā.egī
maiñ ek baar kahūñgā use dobāra nahīñ
uchhāltā huuñ lahū maiñ bhī āsmāñ kī taraf
jo merā sar bhī qalam ho to kuchh ḳhasārā nahīñ
ye inkishāf hai 'raunaq' ajiib teshe kā
kisī bhī sang ke siine meñ ik sharārā nahīñ
koi kinaya nahin koi istiara nahin
main harf harf magar ab bhi aashkara nahin
meri nigah ki wusat pe roz girta hai
wo aasman ki jis mein koi sitara nahin
nadi bichhaD ke samundar se TuT jaegi
main ek bar kahunga use dobara nahin
uchhaalta hun lahu main bhi aasman ki taraf
jo mera sar bhi qalam ho to kuchh KHasara nahin
ye inkishaf hai 'raunaq' ajib teshe ka
kisi bhi sang ke sine mein ek sharara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.