Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi kisi ka kahin aashna nahin dekha

Bayan Ahsanullah Khan

koi kisi ka kahin aashna nahin dekha

Bayan Ahsanullah Khan

MORE BYBayan Ahsanullah Khan

    koī kisī kahīñ āshnā nahīñ dekhā

    sivā.e us ke in āñkhoñ ne kyā nahīñ dekhā

    ye log manā jo karte haiñ ishq se mujh ko

    inhoñ ne yaar ko dekhā hai nahīñ dekhā

    bhalā.ī kyā dil-e-kāfir ne but meñ paa.ī hai

    jahāñ meñ koī itnā burā nahīñ dekhā

    kuchh us jahāñ meñ na dekheñge kyūñki andhe haiñ

    isī jahāñ meñ jinhoñ ne ḳhudā nahīñ dekhā

    ba-rañg-e-sāya o ḳhurshīd ai 'bayāñ' maiñ ne

    kabhū raqīb se us ko judā nahīñ dekhā

    koi kisi ka kahin aashna nahin dekha

    siwae us ke in aankhon ne kya nahin dekha

    ye log mana jo karte hain ishq se mujh ko

    inhon ne yar ko dekha hai ya nahin dekha

    bhalai kya dil-e-kafir ne but mein pai hai

    jahan mein koi itna bura nahin dekha

    kuchh us jahan mein na dekhenge kyunki andhe hain

    isi jahan mein jinhon ne KHuda nahin dekha

    ba-rang-e-saya o KHurshid ai 'bayan' main ne

    kabhu raqib se us ko juda nahin dekha

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    koi kisi ka kahin aashna nahin dekha Fasih Akmal

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now