koi kitna bhi kahe shad nahin hota hai
koī kitnā bhī kahe shaad nahīñ hotā hai
ik luTā dil kabhī ābād nahīñ hotā hai
paidā hote haiñ faqat ishq kī ḳhātir do chaar
har koī majnūñ yā farhād nahīñ hotā hai
hotā aaya hai sadā zaḳhm hī pahle ījād
pahle marham kabhī ījād nahīñ hotā hai
zindagī apnā sabaq aur zarā mushkil kar
ham ko āsān sabaq yaad nahīñ hotā hai
ab har ik baat pe hotā hai faqat vā'da-va'īd
ab kisī baat pe samvād nahīñ hotā hai
kaise us shaḳhs pe la.anat nahīñ bheje koī
ishq kar ke bhī jo barbād nahīñ hotā hai
aise jallād se hai asl meñ ḳhatra sab ko
apne peshe se jo jallād nahīñ hotā hai
ham mohabbat bhalā kyā ḳhaak kareñge jaanā
ham se to kuchh bhī tire baad nahīñ hotā hai
paḌh lo tārīḳh jo ik baar huā mulk ġhulām
phir vo āsānī se āzād nahīñ hotā hai
koi kitna bhi kahe shad nahin hota hai
ek luTa dil kabhi aabaad nahin hota hai
paida hote hain faqat ishq ki KHatir do chaar
har koi majnun ya farhad nahin hota hai
hota aaya hai sada zaKHm hi pahle ijad
pahle marham kabhi ijad nahin hota hai
zindagi apna sabaq aur zara mushkil kar
hum ko aasan sabaq yaad nahin hota hai
ab har ek baat pe hota hai faqat wa'da-wa'id
ab kisi baat pe samwad nahin hota hai
kaise us shaKHs pe lanat nahin bheje koi
ishq kar ke bhi jo barbaad nahin hota hai
aise jallad se hai asl mein KHatra sab ko
apne peshe se jo jallad nahin hota hai
hum mohabbat bhala kya KHak karenge jaana
hum se to kuchh bhi tere baad nahin hota hai
paDh lo tariKH jo ek bar hua mulk ghulam
phir wo aasani se aazad nahin hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.