koi lakh tum se KHafa rahe na kisi ko KHud se juda karo
koī laakh tum se ḳhafā rahe na kisī ko ḳhud se judā karo
yahī zindagī kā usuul hai gale sab se baḌh ke milā karo
kabhī rāz-e-dil na 'ayāñ karo na to ġhair hī kī sunā karo
tumheñ jo bhī kahnā hai shauq se mire paas aa ke kahā karo
mire piiTh pīchhe raqīb se karo yuuñ na raaz kī baat tum
jo gila hai mujh se agar koī mirī baat mujh se kahā karo
baḌī jāñ-fazā hai ye dostī zarā dushmanī kā bhī lutf lo
kabhī dushmanoñ se gale milo kabhī un ke haq meñ du'ā karo
bhalā baat koī ye baat hai ki ho dil meñ kuchh to zabāñ pe kuchh
jo kahā karo vo kiyā karo jo kiyā karo vo kahā karo
koi lakh tum se KHafa rahe na kisi ko KHud se juda karo
yahi zindagi ka usul hai gale sab se baDh ke mila karo
kabhi raaz-e-dil na 'ayan karo na to ghair hi ki suna karo
tumhein jo bhi kahna hai shauq se mere pas aa ke kaha karo
mere piTh pichhe raqib se karo yun na raaz ki baat tum
jo gila hai mujh se agar koi meri baat mujh se kaha karo
baDi jaan-faza hai ye dosti zara dushmani ka bhi lutf lo
kabhi dushmanon se gale milo kabhi un ke haq mein du'a karo
bhala baat koi ye baat hai ki ho dil mein kuchh to zaban pe kuchh
jo kaha karo wo kiya karo jo kiya karo wo kaha karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.