koi manjdhaar na dhaara hai KHuda KHair kare
koī mañjdhār na dhārā hai ḳhudā ḳhair kare
aaj kyoñ paas kinārā hai ḳhudā ḳhair kare
phir nasheman ko sañvārā hai ḳhudā ḳhair kare
barq kī aañkh kā taarā hai ḳhudā ḳhair kare
dekheñ lauT aatī hai āvāz ki miltā hai javāb
dil ne phir tujh ko pukārā hai ḳhudā ḳhair kare
hosh paane kā nahīñ dil ki jo paanī māñge
zulf-e-shab-rañg kā maarā hai ḳhudā ḳhair kare
zehn apnā.e hue fikr pe vo chhā.e hue
ghar na sāmān hamārā hai ḳhudā ḳhair kare
ho gayā dard sivā kyā huā be-dard ko aaj
shikva-e-dard gavāra hai ḳhudā ḳhair kare
ab garebāñ hī salāmat hai na dāman baaqī
phir bahāroñ ne pukārā hai ḳhudā ḳhair kare
ik fusūñ-kār hai ġhārat-gar-e-hosh-o-tamkīñ
jis ne shīshe meñ utārā hai ḳhudā ḳhair kare
ḳhirman-e-zabt-o-sukūñ terā ḳhudā hāfiz hai
jalva-e-yār sharāra hai ḳhudā ḳhair kare
dekhiye kyā ho ki āmāda-e-fariyād hai dil
ab na kuchh zabt kā yaarā hai ḳhudā ḳhair kare
kal ji.eñ yā na ji.eñ aaj tire jaane par
vaqt mar mar ke guzārā hai ḳhudā ḳhair kare
karvaTeñ vaqt badaltā hai uTho chāragaro
kab se bechārgī chārā hai ḳhudā ḳhair kare
kitne iisā haiñ jo is daur meñ dete haiñ javāb
phir salīboñ ne pukārā hai ḳhudā ḳhair kare
phir koī ban ke mehrbāñ na kare is pe nazar
ġham ko hañs hañs ke nikhārā hai ḳhudā ḳhair kare
zindagī yaad se terī na ho ġhāfil ai dost
ab yahī ek sahārā hai ḳhudā ḳhair kare
kyā mile dil ki nazar bhī nahīñ miltī 'āmir'
husn ḳhud-bīñ-o-ḳhud-ārā hai ḳhudā ḳhair kare
koi manjdhaar na dhaara hai KHuda KHair kare
aaj kyon pas kinara hai KHuda KHair kare
phir nasheman ko sanwara hai KHuda KHair kare
barq ki aankh ka tara hai KHuda KHair kare
dekhen lauT aati hai aawaz ki milta hai jawab
dil ne phir tujh ko pukara hai KHuda KHair kare
hosh pane ka nahin dil ki jo pani mange
zulf-e-shab-rang ka mara hai KHuda KHair kare
zehn apnae hue fikr pe wo chhae hue
ghar na saman hamara hai KHuda KHair kare
ho gaya dard siwa kya hua be-dard ko aaj
shikwa-e-dard gawara hai KHuda KHair kare
ab gareban hi salamat hai na daman baqi
phir bahaaron ne pukara hai KHuda KHair kare
ek fusun-kar hai ghaarat-gar-e-hosh-o-tamkin
jis ne shishe mein utara hai KHuda KHair kare
KHirman-e-zabt-o-sukun tera KHuda hafiz hai
jalwa-e-yar sharara hai KHuda KHair kare
dekhiye kya ho ki aamada-e-fariyaad hai dil
ab na kuchh zabt ka yara hai KHuda KHair kare
kal jien ya na jien aaj tere jaane par
waqt mar mar ke guzara hai KHuda KHair kare
karwaTen waqt badalta hai uTho chaaragaro
kab se bechaargi chaara hai KHuda KHair kare
kitne isa hain jo is daur mein dete hain jawab
phir salibon ne pukara hai KHuda KHair kare
phir koi ban ke mehrban na kare is pe nazar
gham ko hans hans ke nikhaara hai KHuda KHair kare
zindagi yaad se teri na ho ghafil ai dost
ab yahi ek sahaara hai KHuda KHair kare
kya mile dil ki nazar bhi nahin milti 'amir'
husn KHud-bin-o-KHud-ara hai KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.