koi manzar kisi manzar se mila tha ki na tha
koi manzar kisi manzar se mila tha ki na tha
Abdus Sami Siddiqui Naeem
MORE BYAbdus Sami Siddiqui Naeem
koī manzar kisī manzar se milā thā ki na thā
koī mausam kisī mausam se judā thā ki na thā
tere aane se chalī aa.ī hai gulshan meñ bahār
tujh se pahle bhī koī kaam huā thā ki na thā
tū ne jo kuchh bhī kahā is meñ anā thī ki na thī
ye batā de ye mohabbat meñ ravā thā ki na thā
zaḳhm bātoñ ke huā karte haiñ gahre aksar
ai mirī jaan tujhe is kā pata thā ki na thā
apnī jholī meñ liye phirtā huuñ ehsān tire
yaad to kar tujhe pahle bhī kahā thā ki na thā
haa.e kis moḌ pe le aayā hai sadiyoñ kā safar
sochtā huuñ maiñ kabhī ghar se chalā thā ki na thā
chhoḌiye is ko 'na'īm' aur kahāñ tak khīñcheñ
us kī vo jaane use pās-e-vafā thā ki na thā
koi manzar kisi manzar se mila tha ki na tha
koi mausam kisi mausam se juda tha ki na tha
tere aane se chali aai hai gulshan mein bahaar
tujh se pahle bhi koi kaam hua tha ki na tha
tu ne jo kuchh bhi kaha is mein ana thi ki na thi
ye bata de ye mohabbat mein rawa tha ki na tha
zaKHm baaton ke hua karte hain gahre aksar
ai meri jaan tujhe is ka pata tha ki na tha
apni jholi mein liye phirta hun ehsan tere
yaad to kar tujhe pahle bhi kaha tha ki na tha
hae kis moD pe le aaya hai sadiyon ka safar
sochta hun main kabhi ghar se chala tha ki na tha
chhoDiye is ko 'na'im' aur kahan tak khinchen
us ki wo jaane use pas-e-wafa tha ki na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.