koi manzil na rasta hai aaj
koī manzil na rāstā hai aaj
lamha lamha bhaTak rahā hai aaj
zindagī kī ajab adā hai aaj
zindagī ḳhud se bhī ḳhafā hai aaj
fāsle ab kahāñ haiñ duniyā meñ
sirf apnoñ meñ fāslā hai aaj
dūr-andesh kis qadar hai vo
ġham-e-fardā bhī dekhtā hai aaj
sirf insāñ kā lafz zinda hai
varna insān mar gayā hai aaj
ab usī ko ḳhulūs kahte haiñ
paas jis ke koī adā hai aaj
kaun hai jo husain ban ke uThe
phir vahī dasht-e-karbalā hai aaj
koi manzil na rasta hai aaj
lamha lamha bhaTak raha hai aaj
zindagi ki ajab ada hai aaj
zindagi KHud se bhi KHafa hai aaj
fasle ab kahan hain duniya mein
sirf apnon mein fasla hai aaj
dur-andesh kis qadar hai wo
gham-e-farda bhi dekhta hai aaj
sirf insan ka lafz zinda hai
warna insan mar gaya hai aaj
ab usi ko KHulus kahte hain
pas jis ke koi ada hai aaj
kaun hai jo husain ban ke uThe
phir wahi dasht-e-karbala hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.