koi manzil to rasta hi nahin
koī manzil to rāsta hī nahīñ
un se ab koī silsila hī nahīñ
muddatoñ se guzar hai ḳhud se hī
tere jaisā koī milā hī nahīñ
ḳhvāb-e-rañgīñ haiñ us kī āñkhoñ meñ
mere ġham se vo āshnā hī nahīñ
mujh ko manzūr hai ye dar-badarī
tū mire saath jab chalā hī nahīñ
tere jaane ke ba.ad se maiñ ne
naam apnā kabhī sunā hī nahīñ
koi manzil to rasta hi nahin
un se ab koi silsila hi nahin
muddaton se guzar hai KHud se hi
tere jaisa koi mila hi nahin
KHwab-e-rangin hain us ki aankhon mein
mere gham se wo aashna hi nahin
mujh ko manzur hai ye dar-badari
tu mere sath jab chala hi nahin
tere jaane ke baad se main ne
nam apna kabhi suna hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.