koi maqtul-e-jafa ho jaise
Interesting Fact
(From 6th June, 1965 to 20th July, 1965)
koī maqtūl-e-jafā ho jaise
ya.anī tasvīr-e-vafā ho jaise
bār-hā yuuñ bhī huā hai mahsūs
koī mujh meñ hī chhupā ho jaise
kitnā mustaġhnī-e-darmāñ hai ye
dard ḳhud apnī davā ho jaise
yuuñ shab-o-roz guzāre tujh bin
vaqt suulī pe kaTā ho jaise
is takallum pe dil-o-jāñ sadqe
aap ne sher kahā ho jaise
bāt-be-bāt ḳhafā ho jaanā
ye bhī ik us kī adā ho jaise
is tarah khel rahā hai har shaḳhs
zindagī ek juā ho jaise
dil-e-marhūm kā mātam to nahīñ
ek mahshar sā bapā ho jaise
ab to kuchh aisā sukūñ hāsil hai
kisī aabid kī duā ho jaise
chashmak-e-barq tirā kyā kahnā
usī kāfir kī adā ho jaise
is tarah kaaT rahā huuñ hamdam
zindagī koī sazā ho jaise
aah nā-karda-gunāhī kī qasam
ye bhī merī hī ḳhatā ho jaise
jumbish-e-lab pe gumāñ hotā hai
naam merā hī liyā ho jaise
yuuñ bujhā aaj charāġh-e-ummīd
ye bhī muflis kā diyā ho jaise
is tarah chhuT ga.e ahbāb-o-azīz
gosht nāḳhun se judā ho jaise
bandagī kaun kare banda-navāz
ab to banda hī ḳhudā ho jaise
log kahte haiñ jise ahd-e-shabāb
ye bhī do din kī havā ho jaise
mus.haf-e-ruḳh pe ghanerī zulfeñ
chāñd badlī meñ chhupā ho jaise
yuuñ girāyā hai nazar se us ne
ashk dāman pe girā ho jaise
yād-e-ayyām-e-guzishta 'tālib'
dil meñ ik dard uThā ho jaise
ab to 'tālib' ye gumāñ hotā hai
vo mujhe bhuul gayā ho jaise
koi maqtul-e-jafa ho jaise
yani taswir-e-wafa ho jaise
bar-ha yun bhi hua hai mahsus
koi mujh mein hi chhupa ho jaise
kitna mustaghni-e-darman hai ye
dard KHud apni dawa ho jaise
yun shab-o-roz guzare tujh bin
waqt suli pe kaTa ho jaise
is takallum pe dil-o-jaan sadqe
aap ne sher kaha ho jaise
baat-be-baat KHafa ho jaana
ye bhi ek us ki ada ho jaise
is tarah khel raha hai har shaKHs
zindagi ek jua ho jaise
dil-e-marhum ka matam to nahin
ek mahshar sa bapa ho jaise
ab to kuchh aisa sukun hasil hai
kisi aabid ki dua ho jaise
chashmak-e-barq tera kya kahna
usi kafir ki ada ho jaise
is tarah kaT raha hun hamdam
zindagi koi saza ho jaise
aah na-karda-gunahi ki qasam
ye bhi meri hi KHata ho jaise
jumbish-e-lab pe guman hota hai
nam mera hi liya ho jaise
yun bujha aaj charagh-e-ummid
ye bhi muflis ka diya ho jaise
is tarah chhuT gae ahbab-o-aziz
gosht naKHun se juda ho jaise
bandagi kaun kare banda-nawaz
ab to banda hi KHuda ho jaise
log kahte hain jise ahd-e-shabab
ye bhi do din ki hawa ho jaise
mushaf-e-ruKH pe ghaneri zulfen
chand badli mein chhupa ho jaise
yun giraya hai nazar se us ne
ashk daman pe gira ho jaise
yaad-e-ayyam-e-guzishta 'talib'
dil mein ek dard uTha ho jaise
ab to 'talib' ye guman hota hai
wo mujhe bhul gaya ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.