koi mausam ho nazar sud-o-ziyan jaanti hai
koī mausam ho nazar sūd-o-ziyāñ jāntī hai
baat jo dil meñ hai beTī ke vo maañ jāntī hai
muddateñ chāhiyeñ kyā huuñ maiñ samajhne ke liye
ye havā aur ye fazā mujh ko kahāñ jāntī hai
terī niyyat tirā manshā tirī fitrat ma.alūm
aañkh merī tirī nazroñ kī zabāñ jāntī hai
zinda zehnoñ se guzārish hai bujhā.eñ varna
aag nafrat kī ġharīboñ ke makāñ jāntī hai
mausam-e-gul hai nigāhoñ meñ na rut sāvan kī
aaj kī nasl to aag aur dhuāñ jāntī hai
merī nas nas meñ jo tahlīl huī jaatī hai
paas baiThī huī laḌkī ye kahāñ jāntī hai
koī paḌhtā hai baḌe shauq se 'sāqī' ko paḌhe
saarī duniyā mirā andāz-e-bayāñ jāntī hai
koi mausam ho nazar sud-o-ziyan jaanti hai
baat jo dil mein hai beTi ke wo man jaanti hai
muddaten chahiyen kya hun main samajhne ke liye
ye hawa aur ye faza mujh ko kahan jaanti hai
teri niyyat tera mansha teri fitrat malum
aankh meri teri nazron ki zaban jaanti hai
zinda zehnon se guzarish hai bujhaen warna
aag nafrat ki gharibon ke makan jaanti hai
mausam-e-gul hai nigahon mein na rut sawan ki
aaj ki nasl to aag aur dhuan jaanti hai
meri nas nas mein jo tahlil hui jati hai
pas baiThi hui laDki ye kahan jaanti hai
koi paDhta hai baDe shauq se 'saqi' ko paDhe
sari duniya mera andaz-e-bayan jaanti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.