koi mausam na kabhi kar saka shadab hamein
koī mausam na kabhī kar sakā shādāb hameñ
shahr meñ jiine ke aa.e nahīñ ādāb hameñ
bahte dariyā meñ koī 'aks Thahartā hī nahīñ
yaad aatā hai bahut gaañv kā tālāb hameñ
is tarah pyaas bujhā.ī hai kahāñ dariyā ne
ek qatre ne kiyā jis tarah sairāb hameñ
jhilmilī raushnī har-samt nazar aatī hai
khīñchtī hai koī qindīl tah-e-āb hameñ
kyā pata kaun se janmoñ kā hai rishta apnā
DhūñD hī lete haiñ har bahr meñ girdāb hameñ
din ulaT detā hai har ḳhvāb kī tā'bīr magar
raat dikhlātī hai phir koī nayā ḳhvāb hameñ
be-amāñ ham jo hue haiñ to hameñ yaad aayā
roz dete the sadā mimbar-o-mehrāb hameñ
kaash mā'lūm ye pahle hameñ hotā 'ālam'
dekhnā chāhtā thā vo bhī zafar-yāb hameñ
koi mausam na kabhi kar saka shadab hamein
shahr mein jine ke aae nahin aadab hamein
bahte dariya mein koi 'aks Thaharta hi nahin
yaad aata hai bahut ganw ka talab hamein
is tarah pyas bujhai hai kahan dariya ne
ek qatre ne kiya jis tarah sairab hamein
jhilmili raushni har-samt nazar aati hai
khinchti hai koi qindil tah-e-ab hamein
kya pata kaun se janmon ka hai rishta apna
DhunD hi lete hain har bahr mein girdab hamein
din ulaT deta hai har KHwab ki ta'bir magar
raat dikhlati hai phir koi naya KHwab hamein
be-aman hum jo hue hain to hamein yaad aaya
roz dete the sada mimbar-o-mehrab hamein
kash ma'lum ye pahle hamein hota 'alam'
dekhna chahta tha wo bhi zafar-yab hamein
- Book : Khayalabad (Pg. 63)
- Author : Alam khursheed
- Publication : Alam khursheed (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.