koi mere pas nahin hai aur na kisi ka hasil main
koī mere paas nahīñ hai aur na kisī kā hāsil maiñ
lahreñ aa kar sar paTkeñgī tanhā tanhā sāhil maiñ
kyā paayā hai kyā bāñTā hai apne apne zarf kī baat
tū ne merī hañsī uḌaa.ī tere dukhoñ meñ shāmil maiñ
agle qadam pe andhā kuaañ thā is kā mujh ko ilm bhī thā
lekin maiñ ne raah na badlī apne aap kā qātil maiñ
bichhaḌ gayā par aas hai mujh ko ik din tujh se milnā hai
terī zaat kā mehvar thā maiñ tere safar kī manzil maiñ
ujle bistar par tanhā.ī pyāse hoñToñ par cigarette
paḌhte paḌhte so jaatā huuñ ibn-e-safī kā novel maiñ
rasta manzil ḳhalvat mahfil mahkeñ terī yādoñ se
lamha-lamha tujh ko sochā tujh se rahā kab ġhāfil maiñ
koi mere pas nahin hai aur na kisi ka hasil main
lahren aa kar sar paTkengi tanha tanha sahil main
kya paya hai kya banTa hai apne apne zarf ki baat
tu ne meri hansi uDai tere dukhon mein shamil main
agle qadam pe andha kuan tha is ka mujh ko ilm bhi tha
lekin main ne rah na badli apne aap ka qatil main
bichhaD gaya par aas hai mujh ko ek din tujh se milna hai
teri zat ka mehwar tha main tere safar ki manzil main
ujle bistar par tanhai pyase honTon par cigarette
paDhte paDhte so jata hun ibn-e-safi ka nowel main
rasta manzil KHalwat mahfil mahken teri yaadon se
lamha-lamha tujh ko socha tujh se raha kab ghafil main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.